Sunday, April 24, 2016

Blog ki traffic kaise badhaye

Apne Website(Blog) Ki Traffic Kaise Badhaye:~

1. Dusre ke Website(Blog) par achhe Comments kare aur apne Website(Blog) ki link bhi Comments me dal de. Is se hoga ye ki dusre Website(Blog) ke visitors apke dwara kiye Comments ko padhenge jisse vo apke Website(Blog) par bhi aa sakte hai.
Aur ek fayda hai Dusre ke Website(Blog) par Comments karne ke, Jab aap Comments me apne Website(Blog) ka link daloge to apke Website(Blog) ki Rank bhi badhegi.
2. Facebook aaj sabhi log use karte hai, Isliye facebook bhi achha madhyam hai Traffic badhane ka. Aap jab koi naya Post dale apne Website(Blog) me to use turant apne  facebook fan  page par Share kare, Ya fir aap kisi other Group me bhi apna Post Share kar sakte hai.

3. Agar aap Whats App use karte hai to ye bhi hume Traffic badhane me madat kar sakta hai. Aap apne Post ko Whats App Group me Share kare aur Dusro ko bhi ise Share karne ke liye kahe.
4. Kisi achhe Traffic wale Website(Blog) me  dale. Is se aap ke Website(Blog) ke Search Rank me ijafa hoga aur apke Visitors bhi badhenge.
5. Jab koi apke Post me Comments kare to use Replyjarur kare. Taki Visitors se apka achha rista jude aur Visitors apke Website(Blog) ko jyada value bhi denge.
6. Post likhte waqt Keyword achhe daliye, Mera matlab hai ki apke Post main aise Keyword ki bharmar ho jo Search Ingines me jyada Search kiye jate ho. Is se agar koi Search karega to apki Website(Blog) jayda Search me aa sakti hai.
7. Agar aap chahte hai ki jo Visitor ek bar apke site me aaya vo dubara aate rhe to aap apne Website(Blog) me Email Subscribe Widget jarur dale, taki jab koi Visitor apke Newslatter ko Subscribe karega to use apke Naye Post ki jankari milti rahegi jisse vo vapas apke Website(Blog) me ayega.
8. Apne Website(Blog) me Share Botton bhi jarur dale. Kyonki agar kisi Visitor ko apka Post achha lage to vo ise Facebook, Twitter & Google Plus etc. me Share kar sakta hai. Jisse apki Traffic badh sakti hai.
9. Aap apne Post ke madhyam se Visitors ke sath ekachha rista jode. Apne Post ko aisa likhe jisse Visitors apse Impress aur Attract ho. Post ko Attractive banane ke liye usme kuch funny ya apni koi story bhi example ke tor pe dal sakte hai.
Ek bat humesha yad rakhe ki apke Website(Blog) me Regular Visitors tabhi aayenge jab aap Visitors se jude rahenge.
10. Aap apne Website(Blog) pe Regular Post dalte rahe. Is se apki Post ki Sankhya badhegi jisse Apka Post Search Ingines me jyada ayegi aur Visitors bhi jayada ayenge apke Website(Blog) par.

2 comments:

  1. Do you need to increase your credit score?
    Do you intend to upgrade your school grade?
    Do you want to hack your cheating spouse Email, whatsapp, Facebook, instagram or any social network?
    Do you need any information concerning any database.
    Do you need to retrieve deleted files?
    Do you need to clear your criminal records or DMV?
    Do you want to remove any site or link from any blog?
    you should contact this hacker, he is reliable and good at the hack jobs..
    contact : cybergoldenhacker at gmail dot com


    ReplyDelete
  2. Sir , you are an inspiration . I wanted to do some projects under you!!!

    ReplyDelete

Comments system

Disqus Shortname