Saturday, April 23, 2016

Bidvertiser kya hai aur isse paise kaise kamaye



BidVertiser se Payse kaise kamaye blog or website 

BidVertiser (A Division off Bpath,LTD) ek bhut purani PPC (pay par click) ki site hai jo 2003 me start hui thi Adsense ke lagbhg sath me. Me is post me bilkul bistaar se bataoga ki BidVertiser kya hai or kaise kya hota hai. isse phele ki aap is website se jude ye baate jaanna jaruri hai aapke liye.
Ham jaante hai ke Ads hamari websites or Blogs ke liye kitne jaruri hote hai paysa kamane ke liye. Me aapse khana chahuga ki is post ko padne se phele apne dimag ko thoda fresh kar le Q ki ye post thodi lambi hai. Me is post me puri kosis karuga ki aapke har sabaal ka jabaab aapko de saku is post ke end tak.apni blog or website se bidvertiser kimadad se paysa kamaye

Account banane ke liye yaha jaye or jaldi se apna account approved karaye

BidVertiser Kya Hai ?

BidVertiser alag PPC (Pay Par Click) network hai jo har bar visitor ke click karne par paysa deti hai jisse ham apni website ya blog par lagate hai.
Visitor agar ads par click karta hai or fir jo agla page khulta hai agar bo us page me interest leta hai matlab jo agle page me khulta hai – form ko fill karta hai, koi product leta hai to hamari commision hoti hai bo double ho jati hai. to hamesa chance hota hai double earning ka par bo visitor par nirbhar karti hai.

 BidVertiser Kaam kaise karta hai


Ye kuch tarike hai BidVertiser ke. jo usko  sabse alag karte hai.
  1. Jo Advertisers hote hai bo apni site ya blog ke promation ke liye BidVertiser ko payse dete hai or khate hai ki hamari is site ka promation karo
  2. Fir BidVertiser uski site ko check karta hai or pir usko unki category me set kar deta hai.
  3. jab koi visitor unki website par jata hai to unki income hoti hai or usme se kuch commission BidVertiser ke pass aata hai.
  4. Publisher (yani ham) har mahine ki aakri tarik ko hamari commission hamare paas aati hai.

 BidVertiser Par Account ke liya kya-kya chaiye

Is par Publisher ke account ke liye ye hona jaruri hai,
  1. Ek Email ID: Is je jariye hi ham apne BidVertiser account me login kar sakte hai.
  2. PayPal Account: Hamari jo income hoti hai bo ham paypal ke jariye hi le sakte hai. 
  3. Blog/Website: Blog ya website hona bhi jaruri hai q ki BidVertiser hame jo ad ke code deta hai ham bo inhi par lagate hai. Agar aapka koi blog nahi hai to aap bana sakte hai blogger par bilkul free.

Payment kaise milti hai

Sabse achi baat BidVertiser ki ye hai ki iski sabse kam payment le sakte hai to jo naya account banate hai agar unki income kam hoti hai jabbhi bo apne paysae le satka hai. Ye kuch tarike hai Payment lene ke
  • PayPal – Kamsekam $10
  • Western Union – Kamsekam $100
  • Check – Kamsekam $100
  • Wire Transfer – kamsekam $10

BidVertiser ki Payment proof

ye company bhut dino se chal rahi hai or iske bhutse payment proof aap net par dekh sakte ho. ye raha mera payment proof


Bidvertiser ki meri payment proof
Image ko full size me dekhne ke liye Image par click kare

BidVertiser par account kaise banaye

to aap teyaar hai apni site ya blog par ads dikha kar payse kamane ke liye. Account banane ke liye ye steps follow kare.

  1. fir “Join Now – It’s Free” ki button par click kare
  2. ab jo form khulega usko sahi bhare
  3. Email id daane ke baad ek code aayega aapke account par usko bhi is form pr daalna hai conformation ke liye. Pura form bharne ke baadContinue ki button par click kare.
  4. Ab aapka BidVertiser account teyaar hai
Yaha par click karke apna account banane par account jaldi se approve ho jayega.

 to ab hamne BidVertiser kya hai or ham isse kaise payse kama sakte hai ye jaana or apna account is par banaya.
Ab aap iske code ko copy karke apni blog ya website par daalkar apni income start kar sakte hai.

BidVertiser ka Code Blog par Kaise lagate hai

Ab ab aapka account to ban chuka hai. apna account me login kijiye. login karne ke baad in steps to fillow karo.


  1.  Add New BidVertiser par click kare
  2. Add New BidVertiser  under new domain par click kare.
  3. Ads ka Tital de. (Aap jis blog website par is ads ko dalna chate ho bo daale)
  4. Apne Blog ki URL dale
  5. Agar aap ka jo website hai agar usma main url agar or kuch hai to yaha apna link dale warna isko khali chod de.
  6. Apne blog ki bhasa chune jo bhi ho. agar hindi to hindi chune or agar English to english chune, ya koi bhi ho
  7. Apne Blog website ka category chune ki aapka kis topic par hai.
  8. Eske baad yaha par or category aa jayegi un me se apni blog/website se jo samband rakhe usko chune. (Agar aapne galat catrgory chuni apni website/blog ke liye to uspar jo ads aayege bo aapki site par hai usse alag aayege, isliye sahi chune)
  9. Last me Finsh ki button par click kare. Ab aapki website to jud chuki hai BidVertiser pe.
  10. ab BidVertiser center par click kare
Agle page par aap dekege ki aapki site list me aa jayegi hai.

  1.  Aap apni site me alag alag size ke ads lagane ke liye uski sub categry banale. pichli process ko dorha kar.
  2. List me site ko select karne ke baad Chose Templateki button par click kare. ek popup page khulega usme se apne ads ka size chun le fir Update ki button dabaye.
  3. Get Ad Code ki button par click kare fir ek popup page khulega. uspar ek code hoga usko copy kare or apne blog par jaha aap chate hai bha paste karde.

Aage ham jaanege:

kaise apni income or badaye BidVertiser par or bhi nhut kuch….
Hamne Is post me ye to sik liys ki BidVertiser ka code kaise prapt karte hai par agar aapko bo ad ke code apne blog par lagane me agar koi dikkat ho rahi hai to aap muje bataiye. me apni agli post me puri step by step bataoga ki ad ke code ko site par kaise lagate hai.
Dosto ye jaankari aapko kaise lagi ya fir aapka koi sabaal ho aap comment ke jariye jarur bataye. Muje khusi hogi aapke vichaar jankar.
Sabse jaruri baat hame subscribe karna na bhule

No comments:

Post a Comment

Comments system

Disqus Shortname