Thursday, May 19, 2016

Wifi ka password kaise hack kare 5 minute me

Hello dosto, aaj me aapko btane ka rha hun ki mobile aur computer me WiFi ka password kaise pta kar sakte hai, kahi aap galat na samjh le main pahle aapko bta dun ki main WiFi ke password ko crack ya hack karne ke baare me nahi btane ja rha. main sirf kisi computer ya mobile me connected WiFi network ke password jan ne ke baare me btane ka rha hun.
 

Is trick ke jariye aap android, ios, Windows, Mac, Linux aadi me connected WiFi ka password pta kar sakte hai jo aap bhul gaye hai ya fir kisi dusre device se connected hai aur aap apne device ko connect karna chahte hai.

Connected WiFi Ka Password Kaise Pta Kare :-




Windows Ke Liye :-


Windows me WiFi ke password pta karne ka sabse easy tarika hai command prompt, iske jariye hum pahle kabhi connect huye WiFi ka password bhi pta kar sakte hai.

windows ke search baar me jakar cmd type kare aur cmd open karke niche di gayi command type kare.

netsh wlan show profile WiFiName key=clear

WiFiName ki jagah us network ki SSID likhe jiska password aapko pta karna hai, enter karne par niche security setting me password show hoga.

Other Method


network and sharing center me jaye WiFi name par click kare wireless property select kare security me jaye  aur niche show password par click kare, password dikh jayega.

Mac Ke Liye :-


Mac me WiFi password dekhne ke liye Applications me jaye, Utilities me jakar Keychain Access open kare.

Yahape aapko WiFi networks ki list milegi Jo aaj tak is device se connect huye hai, current WiFi ko dundhe ya for upar diye gaye search bar me name type karke search kare. Ispe double tap karke show password par click kare aur computer ke password enter kare, WiFi ka password show ho jayega.


Linux Ke Liye :-


Linux me WiFi ke password pta karne ke liye terminal open karke niche di gayi command type kare aur enter dabaye, ab user password dalkar dobatra enter press kare, WiFi network list aur password show ho jayenge.


sudo grep psk= /etc/NetworkManager/system-connections/*

Android Ke Liye :-


Android me WiFi ke password pta karna Mac ki tulna me kathin hai, kyoki jo file password ko store karti hai WO regular user ke liye available nahi hoti, iske liye aapka mobile rooted hona chahiye.

Aapka mobile rooted nahi hai to aap password pta nahi kar sakte, agar rooted hai to WiFi Password Recovery app download karke pta kar sakte hai.



Agar aap koi app download nahi karna chahte to ES file explorer open karke root directory me /data/misc/wifi/ me jakarwpa_supplicant.conf ko open kare, yaha aapko sabhi SSID aur unke password ki list mil jayegi.

1 comment:

Comments system

Disqus Shortname