Thursday, May 19, 2016

1mobile me do whatsapp chalane ki trick

Hello dosto aaj me aapko btane ja raha hun ki kaise apne android phone me 2 whatsapp account run kare,
Aajkal har koi whatsapp tricks ke baare me jan na chahta hai lekin wo achhi tarah se na samjhne ke karan ya fir sahi trick nahi hone ke karan nirash ho jata hai.

Shayad aapne bhi dual whatsapp account use karne ke liye try kiya hoga aur aap kar ni paye honge,
Koi baat ni ab me aapko batane ja raha hu 100% working trick jis se aap ek hi phone me 2 whatsapp number use kar sakenge.

Two Whatsapp Account In Single Phone






Whatsapp ke 2 account use karne ke liye jo tricks hoti hai unme android mobile ko root karna hota hai jo sabhi android users karna ni chahte,
Lekin me jo trick batane ja raha hu usme aapko apne android device ko root karne ki jarurat nahi padegi, koi bhi android user is trick se aasani se apne android device me do whatsapp account use kar sakta hai.


Dual Whatsapp App Features


• Android Ko Root Karne Ki Jarurat Nahi Hai.

• Aap wo sabhi features use kar sakte hai Jo official WhatsApp me hote hai.


Whats Required To Use Two Whatsapp Accounts In One Device :-


• Android Phone

• Internet Connection


How To Use Two Whatsapp In One Device :-


• Sabse pahle Play Store par jakar Parallel Space app download kare.

• Install hone ke baad is app ko open kare aur + ke button par click karke whatsapp ko add kare, uske baad isme whatsapp open karke apna number dale jis se aap naya account banana chahte hai.

• Apna mobile number verify kare.

• Ab aap apne android mobile me ek sath 2 whatsapp account use kar sakte hai.


Is app ke jariye aap WhatsApp ke alawa dusri apps jaise Facebook, twitter ke bhi 2 account ek phone me bana sakte hai,
Agar aapko koi problem aati hai ya fir aapko trick pasand aayi to aap niche comment kare sakte hai.

No comments:

Post a Comment

Comments system

Disqus Shortname