Thursday, May 19, 2016

Whatsapp mai last status online kaise off kare

Kabhi-2 aap nahi chahte ki aapke whatsapp friends ko pta chale ki aap online ho ya kuch der pahle online huye the, WhatsApp last seen status hide karne ka option to official WhatsApp me mil jata hai lekin WhatsApp par online status hide karne ka option whatsapp me nahi aata hai.

Lekin main aapko batane ja rha hun ki kaise aap whatsapp online status ko hide karke apne dosto ki nazro se bach sakte ho. Iske liye aapko whatsapo ki nodded apk install karni hogi, uske baad aap online rahkar kisi se bhi chat kar sakte ho baki dosto ko iske baare me jankar nahi hogi ki aap online ho.
aap last seen, typing aur blue ticks bhi hide kar sakte hai, fir aapka whatsapp account puri tarah private ho jayega koi aapko msz karga aur aap usko padh lenge to bhi msz karne wale ko pta nahi chalega ki aapne msz padh liya hai.

Online Status Hide Kaise Kare WhatsApp Par :-




1. Sabse pahle WhatsApp ki modded apk download karne ke liye yaha click kare.
 

2. Download hone ke baad is apk file ko apne mobile me install kare.

3. Ab modded whatsapp ko open karke apne mobile number se whatsapp id banaye

4. Id ban jane ke baad jab aap upar right side me menu button par click karenge to aapko Privacy ka option dikhayi dega use open kare.

5. Yaha par aapko WhatsApp ki online status, last seen status, typing status aur blue ticks ko hide karne ke option milenge unko hide kar le.
Ab aap bina kisi ki nazro me aaye kisi se bhi chat kar sakte hai baaki logo ko pta nahi chalega ki aap online hai aur wo aapko disturb nahi karenge, aap kisi ka msz padhkar usko jawab nahi dena chahte to blue ticks hide karne ke baad usko pta nahi chalega ki aapne msz padh liya hai.


Agar aapko trick pasand aaye to apne dosto ke sath facebook aur Whatsapp par share jaruri kariyega, agar koi pareshani aati hai to niche comment karke meri help le sakte hai.

No comments:

Post a Comment

Comments system

Disqus Shortname