Thursday, May 19, 2016

Unfortunaly app has stopped error ko kaise stop.kare

Aajkal sabhi log smartphone use karne large hai aur sabse jyada smartphone users android based phones use karte hai, apple, BlackBerry jaisi companies ke smartphones me software se related jyada problems nahi aati hai lekin android me maine aksar dekha hai ki "Unfortunately Google Play Service Has Stopped" ya is se related dusre errors logo ko pareshan karte hai.

Aaj is post me main aapko btaunga ki kaise kisi bhi Unfortunately app has stopped error ko fix kaise karte hai, kyoki ye error baar-2 aakar users ko bahut jyada pareshan karta hai isliye ye post aapke liye bahut helpful rahega.

Unfortunately, App Has Stopped Error Ko Kaise Stop Kare :-




1. Sabse pahle apne mobile ki Setting open karke Apps ke option me jaiye.

2. Swipe karke All Apps me jakar jo app unfortunately stop ho rha hai usko Openkare.

3. Yaha aapko Clear Data aur Clear Cacheke button milenge.

4. Dono buttons par click karke Data aur Cache ko clear kar de.

5. Ab phone ko Restart kar le.


Agar download ki huyi application me ye problem aa rahi hai aur Data/Cache ko clear karne par bhi problem solve nahi ho rahi toPlay Store par jakar us app ko update kar le.

Update karne par bhi error nahi jata hai to apne phone ko pattern lock logne par hard reset karte hai waise reset kar le, hard reset karna nahi jante to ye post padhe.

No comments:

Post a Comment

Comments system

Disqus Shortname